Aye mere baradar e eemani
- Ali Safdar (2007)
Aye mere baradar e eemani..(2)
mat ghayr se apni yaari rakh
Aye mere baradar e eemani
mat momin se narazi rakh
Aye mere baradar e eemani
Aye mere baradar e eemani..(2)
1. Zehra ko imam e zamana ko
mumkin hai isi se sadma ho
mat momin se narazi rakh
aye mere baradar e eemani
2. Jab baat kare na mehram se
ya saamne aajaye tere
tu apne nigaahe neechi rakh
aye mere baradar e eemani
3. Aamal o aqaed apni jagah
huliya bhi to ho momin jaisa
muche kam kar aur daadhi rakh
aye mere baradar e eemani
4. Nigraa'n hai imam e zamaa'n tujh par
taqleed bhi kar matam bhi kar
dushman pe nigahein gehri rakh
aye mere baradar e eemani
5. Uff tak ki ijazat tujhko nahi
maa baap se jab tu baat kare
awaaz bhi apni dheemi rakh
aye mere baradar e eemani
6. Ban sakta nahi qambar, fizza
par soch tu hai shia kiska
kuch laaj ali o batool ki rakh
aye mere baradar e eemani
7. Mat radd e amal ki parwah kar
ae shaer e haqq "Sibt e Jafar"
tu koshish apni jaari rakh
aye mere baradar e eemani