Ao ghazi hamari nusrat ko

- Anjuman e alamdare hussain (2015)


Ao Ghazi hamari nusrat ko
Roke kehti thi zainabe muztar
Deraha hai sada ye Sara ghar
Ao Ghazi hamari nusrat ko

1. Tere Marne se ay mere Ghazi
Hogae dar badar ye shahzadi
Chini aada ne hai meri chadar
Roke kehti thi zainabe muztar

2. Run me akbar gaya tha JAB ladne
Dekhte jao mujh ko mud mud ke
Kehrahe thae jawab se ye sarwar
Roke kehti thi zainabe muztar

3. Ali Akbar ne khaye Hi barchi
Sona Akbar ka hogaya chalni
Tha xayefi me dagh ye dil per
Roke kehti thi zainabe muztar

4. Jab gala kat raha tha bhai ka
Maine dekha tha ghaur se Bhaiya
Ek tera Hi nam tha lab per
Roke kehti thi zainabe muztar

5. Hum ko darbar me bhi jana hai
Wada bhai se tha nibhana hai
Sar khule kaise jayegi khwahar
Roke kehti thi zainabe muztar

6. Hai bachi tadap ke roti hai
Jagti Hi wo aur na soti hai
Shimr ke taaziyane khaane per
Roke kehti thi zainabe muztar

7. Hum to dar dar phiraye jaate hain
Roye to taaziyane khaate hain
Zulm uthaye har ek manzil per
Roke kehti thi zainabe muztar

8. Hashmi JAB gala kata sheh ka
Qaak udati thi dast me zahra
Qun rulata hai qun bhara manzar
Roke kehti thi zainabe muztar