Hai waqt e sahar khoon mein tar waris e qur'aan
- Rizwan Zaidi (2009)
Ya ali maula ali, maula ali..(2)
Hai waqt e sahar khoon mein tar waris e qur'aan..(3)
roti hai azaa'n masjid e kufa bhi hai giryaa
1. Lo aaj se aghaaz hua karbobala ka
Makhduma e kaunain ka jaari huwa girya
marqad mein Mohammad bhi nazar aaye pareshaa'n
2. Kya zeher mein doobi hui shamsheer chali hai
lo zakhmi huwa sajdey mein damaad e nabi hai
duniya se chala dekhiye kaabe ka nigehbaa'n
3. Jibreel e amee'n khaak udaate huwe aaye
Adam bhi yehi nauha sunate huwe aaye
kis ko dam e mushkil mein pukarega musalmaa'n
4. Tu ne bine muljim(l.a.) ye sitam kaisa hai dhaya
sajde mein namazi ka lahu kyu hai bahaya
Abbas ko bachpan mein kiya chaak girebaa'n
5. Kaabe ki faseelo'n pe udaasi ki rida hai
aur qibla e awwal mein bhi kohraam bapa hai
sar khuld mein huraan e jinaa ne kiya uryaa'n
6. Hasnain ke sar par hai yateemi ka andhera
rukhsat huwa suraj ki nigaho'n se sawera
zam zam mein talatum hai to kausar mein hai tufaa'n
7. Rehan hai rizwan e jinaa chaak girebaa'n
hai baagh e iram, baagh e fidak ki tarha giryaa
hasnain(a.s.) ka baba hai zara der ka mehmaa'n