Nokri shabbir ki

- Shahid Baltistani (2006)



(Haya ala khayral amal) x2

(Ya hussain) x6

(Nokri shabbir ki) x2

  1. (Mere khu(n) ki taharat kehti) x2
  2. Mujhe har shahi se achhi hai

    (nokri shabbir ki) x2

  3. (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2
  4. ye hur jayso(n) ko milti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  5. Ye mansab jisko miljaye, zehra ki duaye(n) pata hai
  6. wo khaak zarra hokar bhi, khud khake shafa banjata hai

    (ye nemat to hum jeso(n) ki) x2

    taqdir banaye rakhti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  7. Ye farshe aza tabuto alam, ye nawhe majlis aur matam
  8. Pani ke sabile(n) aur langar, masum ali asgher ki qasam,

    (hum ehle aza ki mazhub me) x2

    kehlati thi kehlati hai

    (nokri shabbir ki) x4

  9. ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai,
  10. ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai,

    (darwazaye zehra par inki) x2

    ta roze qayamat paki hai

    (nokri shabbir ki) x4

  11. shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai,
  12. khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai,

    (is izat ko khud binte ali) x2

    qura(n) ki zuba(n) me kehti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  13. Majlis me siyasat mat karna, maula se baqawat mat karna,
  14. Is farshe aza par ake talak, is zikr ki kimat mat karna,

    (bemaas jo matam karte hai) x2

    bus unko shafa at deti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  15. wo sajadaye akhir jalti zamin, jis sajde ka sani hi nahi,
  16. khanjar ke tale jis jam rakhi, shabbir ne haye zakhme jabi(n),

    (jibril ne akar di ye sada) x2

    manzur khuda ne karli hai

    (nokri shabbir ki) x4

  17. ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai,
  18. ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai,

    (darwazaye zehra par inki) x2

    ta roze qayamat paki hai

    (nokri shabbir ki) x4

  19. shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai,
  20. khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai,

    (is izat ko khud binte ali) x2

    qura(n) ki zuba(n) me kehti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  21. "rehan" kalam bhi nokar hai, kaghaz bhi ghulame sarwar hai,
  22. darvesh se badhar lafz me aa, likhta jo azaa ka manzar hai,

    (kehti hai meri noha goyi) x2

    taqdir me teri likhdi hai

    (nokri shabbir ki) x4

  23. (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2

ye hur jayso(n) ko milti hai

(Haya ala khayral amal) x2