Aisa lagta hai hasan
- Ameer Hassan Amir (2015)
HAYE HASAN HAYE HASAN AYE HASAN AYE HASAN HAYE HASAN HAAYE HASAN
HAYE HASAN HAYE HASAN AYE HASAN AYE HASAN HAYE HASAN HAAYE HASAN
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
SOCHKAR PHATTA HAI DIL KITNE SITAM DHAAYE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
TUKDE TUKDE ZAHER DEKAR PAHLE KAR DAALA JIGAR
BAAD ME YE ZULM BHI DHAAYA GAYA MAZLOOM PAR
KABR TAK JAANE SE ROKA TEER BARSAE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
LAUT KAR AAYI JO MAYYAT GHAR ME KABRUSTAN SE
YU LAGA JAISE TAPAKTA HAI LAHOO QURAAN SE
ZAINABO KULSOOM KO PHIR ZAKHM DIKHLAE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
ZABT KIS DIL SE KIYA AHADE VAFA KE PAAS NE
JAANE KITNI BAAR ULTI AASTEE ABBAS NE
VO TO KAHIYE HAZRATE SHABBIR SAMJHAE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
KYA KISI KE SAATH PEHLE BHI KABHI AISA HUA
KYA KISI KO DAFN KARNE SE KAHEE ROKA GAYA
KOI TO BATLAE KYU YE ZULM DOHRAE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
AHMADE MUKHTAR KHUD NAAQA BANE JISKE LIYE
APNI ZULFE HAATH ME DEKAR CHALE JISKE LIYE
HAAYE USKI LAASH PAR PATTHAR BHI BARSAE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
DEKHKAR BHAI KA LAASHA DER TAK ROE HUSSAIN
KAISE DOHRAE KIYE JO ZAINABE MUZTAR NE BAEN
UMME FARWA AUR QASIM GASH PE GASH KHAAYE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
JISME ATHAR PE NA JAANE ZAKHM KITNE KHAAYE HAI
AISA LAGTA HAI PAHEN KAR SURKH JODA AAYE HAI
KHU TAPAKTA THA BADAN SE GHAR ME JAB LAAYE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
NANA KE PEHLU ME MIL JAATI AGAR DO GAZ ZAMEE
CHAEN SE MARQAD ME SO JAATA YE JANNAT KA MAKEE
KYU NA HAQDAARO KA HAQ AAKHIR NA DILWAE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)
DASTANE RANJO GHAM ASIF KARU KAISA BAYA
DAR SATAATA HAI YE AAMIR GIR NA JAAYE AASMA
AKRABA MAYYAT HASAN KI LAAYE LE JAAYE GAYE
AISA LAGTA HAI HASAN DO BAAR KAFNAE GAYE..(2)