Ay mere babajaan, horahi hai azaa
- Shahid Baltistani (2006)
Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,
Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan
- me bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,
- babajaan me rida mangti rehgayi,
- haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
- shaam ashur se, shamo kufa talak,
- babajaan ye tera akhri tha bayan,
- ruk na paya mere bawafa ka wo sar,
- haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
- kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me,
- Aysa khutba diya mene darbar me,
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
mere lehje me hai, baba teri ada
naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day di apni zubaa(n)
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
bamo dar saj gaye, jiteji margayi,
halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n)
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai
har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

mene manga nahi hai kharaje fadak,
meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n)
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
teri chadar bachayega ghazi jawaa(n),
margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n)
(Abbas) x9
noke neza se aane laga khaak par,
behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n)
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai
har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
misle zahra khari hu(n) me aghyar me,
us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n)
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
Likhraha hai jo "Yawar" tere pyaar me,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)