Mazloom Baradar

- Mohammad Raza Gopalpuri (2017)


Mazloom baradar mere mazloom baradar
Zainab ne kaha aye mere mazloom baradar

1. Kehti thi ye maqtal me nabi zaadi tarhap kar
Ghar lut gaya ham qaid hue haaye moqaddar
Ab aun o mohammad hain na abbas na akbar
Chadar to urha do hame aye ghairat e haider.
Kya sham talak jayenge ham u hi khule sar

Mazloom baradar mere mazloom baradar.

2. Main apni sunau ke tere haal ko puchhu
Chadar bhi nahi sar pe kafan kaise tujhe du
Khul jaaye agar haath balayen teri main lu
Zakhmi hai badan saara kahan se tujhe chumu
Teeron pe tera jism hai sar naize ke upar

Mazloom baradar mere mazloom baradar

3. Sau jaa se feda tum pe main qurban tumhare
Aye naazishe(naazo ka pala) haider meri amma ke dulaare
Sab bhai bhateeje mere jannat ko sidhaare
Ab bahr e madad kis ko ye dukhyaari pukare
Ghurbat ke andhere me kidhar jaaye ye khwahar

Mazloom baradar mere mazloom baradar

4. Lo qaidi banaai gayi bahne bhi tumhaari
Dekho hame lene ke liye aayi sawaari
Parda hai koi aur na haudaj na amari
Bazaar me kya u hi chali jaaon mai waari
Sadat ke sar par koi maqna hai na chadar

Mazloom baradar mere mazloom baradar

5. Ghazi ko pukaru ali akbar ko pukaru
Hai haath bandhe laash teri kaise uthaon
Kis tarha tere jism se teeron ko nikalu
Dil kehta hai marne ki dua haq se main maangu
Kin aankhon se dekhu mai tera laasha e be sar

Mazloom baradar mere mazloom baradar

6. Asghar ki khabar to zara lo aa ke khuda ra
Aaghosh e lehad me nahi masoom tumhara
Be goro kafan dhoop me hai aankhon ka tara
Sar tan se sitamgaro ne uska bhi utara
Sadme me guzar jaaye na shashmahe ki madar

Mazloom baradar mere mazloom baradar

7. Ek bar sakeena ko kaleje se laga lo
Kamsin hai bht roti hai godi me utha lo
Kuch beeti hui uski suno apni suna lo
Mumkin ho agar shimr e sitamgar se bacha lo
Khati hai tamacho pe tamache meri muztar

Mazloom baradar mere mazloom baradar

8. Shamshad likhu kaise ke purdard hain qisse
The bain abhi jaari ke parhne lage durre
Aabid ko lage korhe sakeena ko tamache
Naize ki ani kha ke lagi bibi ye kehne
Bhai se juda karte hain behno ko sitamgar

Mazloom baradar mere mazloom baradar.