Zainab ke dularo par
- Mohammad Raza Gopalpuri (2017)
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
Tapta hua sehra hai aur pyas ki shiddat hai
1. Ashoor ki shab zainab kehti thi ye beto se
Sar apna kata dena mamu se jo ulfat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
2. Haider ke nawase ho jafar ke ho tum pote
Kya khauf hai dushman ka wirse me shujaat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
3. Tadad bohot kam hai as-habe hussaini ki
Dekho mere bhayya par kya alam e ghurbat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
4. Parwa na meri karna maida me chale jana
Islam ko tum dono bhai ki zarurat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
5. Akbar na chala jaye maqtal me kahi pahle
Tum mere pesar ho wo hamshakl e risalat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
6. Bhule se bhi pani ki janib na nazar karna
Kamsin ali asghar par bhi pyas ki shiddat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
7. Ghorhe se giro jis dam mamu ko sada dena
Deedar kara dije apna dam e rukhsat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
8. Hain samne aankhon ke mah paaro(chand ke tukrhe) ki do laashe
Ek maa ke liye kitni sangeen musibat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
9. Karti hun ada phir bhi mai sajda e shukrana
Tum mare gaye mera bhayya to salamat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai
10. Farzando se zainab ne rokar ye kaha hoga
Naushad ke nauhe ki qeemat me ye jannat hai
Zainab ke dularon par kya waqt e musibat hai