Ant e ummul aza

- Mohammad Raza Gopalpuri (2017)


Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza
Raziya marzia qudsiya tahera ante khairun nesa
Fatema fatema fatema fatema binte khairul wara

1. Baad e nabi zulm ka kuch is tarah toofa utha
Ghar jala darwaza gira pahlu shekasta hua
Samne haider ke sitamgaro ne ki wo jafa
Tera shekam mohsin e mazloom ka maqtal bana
Reh gaya kaap kar rauz e Mustafa

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

2. Zulm o sitam ki wo madine me hui ibteda
Jiska nazar aa gya anjaam sar e karbala
Qatl waha batn me ek maa ka jo mohsin hua
Baap ki aghosh me asghar yaha mara gaya
Wo bhi gham apka ye bhi gham apka

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

3. Dar na jalate jo madeene me tera badguma
Karbobala me ma kabhi khaimo se uthta dhuwa
Parhti na maula ke gale me jo waha reesma(rassi)
Garden e beemar me hota nahi tauq e gera
Tere qalb e shekasta(toota hua) pe jaane feda

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

4. Uthte the jis beti ki tazeem ko paiham nabi
Chin li jallado ne u uske labo se hasi
Roti hai mazloomi e masooma pe khud be basi
Ghar me hai sadat ke din raat ki faqa kashi
Zakhm e zehra ki ho kis tarah ab dawa

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

5. Umr hai athhara baras au rasa haath me
Bachhe bohot chhote hain ab kon chale saath me
Rehti hain din raat namaz aur monajaat me
Dard se gir parhti hain din me to kabhi raat me
Koi marham nahi ashk e gham ke sewa

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

6. Zarbe jafa(zulm ki chot) aisi thi kaari(kamyab) ke qayamat hui
Teen maheene nahi guzre ke shahadat hui
Ummat e ahmad ko na taufeeq e ayadat hui
Aalame ghurbat hi me shahzadi ki rehlat hui
Alwida alwida aye shaheede jafa

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

7. Ghusl jo haidar ne wasiyat ke mutabiq diya
Dekha ke bazu na to pahlu hi salmat raha
Jism bohot zakhmi hai masooma e konain ka
Peet ke sar rone lage apna imam e huda
U na roye kabhi cheekh kar murtaza

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

8. Laash nazar aayi jo mazlooma ki zere kafan
Seena o sar peet te the zehra ke ghuncha dahan(phul jaise mu waale bachhe)
Paayeti thi zainab o kulsum sarhaane hasan
Ruk gay eek goshe me ye keh ke hussain e zaman
Meri amma bulayengi tab aaunga

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

9. Sun ke ye dil soz sada paikar(badan) e zehra hila
Bande kafan toot gye aur hua mehshar bapa
hathon ko be sakhta shehzadi ne phaila diya
ladle shabbier ko phir seene se lipta liya
kehti thi u na ro aye mere mehlaqa

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza

10. Ghurbat e zehra ka ye shamshad ne nauha likha
Mursal e azam ne di khud haath uthakar dua
Farshe aza se utha kuch is tarah shor e buka
Aa gye majlis me jena chhorh kea hl e kisa
Barh gyi ronaq e bazm e sehne aza.(azadari ka aangan)

Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza