Ghar se nikal raha hai janaza batool ka
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2015)
FATHIMA ZEHRA (4)
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
GIRYA KUNAA’BN HAI SAARA GHARANA BATOOL KA
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
1.BAADE RASOOL ITNE MASAYEB HUE NUZOOL
ATHARA SAAL HEE ME ZAYEEFA HUI BATOOL
MATAM SARA BANA HAI MADEENA BATOOL KA
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
2.DARWAAZAYE ALI KO UDU NE JALA DIYA
PEHLU PE HAAYE JALTA HUA DAR GIRA DIYA
DUSWAAR KARKE RAKH DIYA JEENA BATOOL KA
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
3.DEEWARO DAR KE DARMIOYAA’M SHEHZAADI AAGAYI
EK KEELI PHASLIYON ME JO PEWAST HOGAYI
HAAYE SHAHEED HOGAYA BETA BATOOL KA
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
4.LE AAYE GHUSL KHAANE ME MAYYATH LO ELIYAA
DOURAANE GHUSL CHEEQ PADHE SHERE KIBRIYAA
AAYA NAZAR JO PEHLU SHIKASTA BATOOL KA
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
5.WALLAH DE KOI TO DILAASA HUSSAIN KO
MAYYATH PE MAA KI RONE NA DENA HUSSAIN KO
RONE SE ISKE PHAT TA HAI SEENA BATOOL KA
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
6.HASNAIN MUZTARIB HAIN TO BECHAIN HAIN ALI
GHASH ME PADHI HAIN ZAINAB-O-KULSOOM YAA NABI
RANJO ALAM ME GHARQ HAI KUNBA BATOOL KA
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
7.HAR SIMT HAI MADEENE ME SHORE BUKA MUJEEB
ROT HAIN SARKO PEET KE EHLE AZA MUJEEB
REHAN KE LABO’N PE HAI NOUHA BATOOL KA
GHAR SE NIKAL RAHA HAI JANAZA BATOOL KA (2)
FATHIMA ZEHRA (4)