Hussain ibne ali ki karo azadari
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2017)
HUSSAIN HUSSAIN (4)
YA HUSSAIN...YA HUSSAIN
JEE RAHE HAIN AABRU SE HAM JO HINDUSTAN ME
DOSTON BAS YE GHAME SHABIR KA EHSAAAN HAI
JISM ME KIS KIS KE KAISA KHOON HAI KHUD DEKHLO
YE AZADARI NAHI YE NASL KI PEHCHAN HAI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI(2)
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
1.FALAQ PE CHAND NAZAR AAGAYA MOHARRAM KA
HAI SOGWAR MAHINA HUSSAIN KE GHAM KA
KHULOOSE DIL SE KARO EHTEMAAM MATAM KA
NABI KI AAL SE KARTE RAHO WAFADARI
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
2.TUMHARE WAASTE ZEHMAT UTHAYI MOLA NE
YE DUKH YE RANJ-O- MUSIBATH UTHAYI MOLA NE
JAWAAN BETE KI MAYYAT UTHAYI MOLA NE
DO PURSA SHAH KO AB KARKE GIRYA-O-ZARI
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
3.BALA KE DASDT ME WO PAASBANE EHLE HARAM
KATA KE SHAANE BACHAAYA HAI DEEN KA PARCHAM
HAM ISLIYE BHUI UTHAATE HAIN BAAWAFA KA ALAM
ZAMANA DEKHLE BE DAST KI ALAMDARI
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
4.HUE THE BAAP KE HAATHOON PE MUNQALIB ASGHAR
LAHU ME DOOBA HUA HAI YE DARD KA MANZAR
JO TEER AAKE LAGA BEZABAAN KI GARDAN PAR
WO TEER WAZN ME THA BEZAABAAN SE BHAARI
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
5.ZAMEEN ROYI HAI CHASHME FALAK BHI HAI PURNAM
NABI KI AAL PE DHAAYA GAYA WO ZULM-O- SITAM
SAWAARE DOSHE PAYAMBAR JO THA KHUDA KI QASAM
USI KI LASH KO PAAMAL KARTE HAIN NAARI
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
6.SITAM HUE JO HARAM PAR BATAO MAI KAISE
GALA HUSSAIN KA KAATA HAI JAB SITAMGAR NE
RIDAAYEN BIBIYON KI CHIN GAYI JALE KHAIME
TAMANCHE KHAATI THI HAR DAM HUSSAIN KI PYARI
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
7.NIGAAHE HAQ ME IBADATH HAI MAJLIS-O-MATAM
HO DAUR KOI BHI KARTE RAHO HUSSAIN KA GHAM
YAHI TO FATHIMA ZEHRA KE DIL KA HAI MARHAM
ADAA-E-AJRE RISAAALATH HAI SHEH KI GHAMKHWAARI
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
8.JO KHAR PAAO'N ME DHANSTE HAI AUR NIKALTE HAIN
HAI ZAUF ITNA KE GIRTE HAIN AUR SAMBHALTE HAIN
HAAYE SAJJAD.........
JO RAAHE SHAM ME SAJJAD JHUK KE CHALTE HAIN
HAI TAUQ BEDIYON KI ISS QADAR GARAA'N BAARI
9.HILAL NOHA YE REHAN NE PADHA AISA
HAR EK SIMPT HAI CHAAYI GHAMO ALAM KI GHATA
UTHA HAI MAJLISE SARWAR ME SHOR GIRYA KA
HAR EK AANKH SE ASHKE AZA HUE JARI
FURAATE ASHKE AZA HASHR TAK RAHE JAARI
HUSSAIN IBNE ALI KI KARO AZADARI
YA HUSSAIN YA HUSSAIN