Khoon e hussain
- Ali Deep Rizvi (2017)
Ehle azaa pehchano khudara
farshe azaa par aane se pehle
jinko talab paiso ki hai bus
zikre husain sunane se pehle
ye hai tajir khoon e husain
tajirane khoon e hussain
1. Inko gharaz nahi fikr se kya hai
inko gharaz nahi maqsad kya hai
zikr e hussain ibadat hai par
peshawaro ko isse kya hai
gaano ki tarz pe padhke qaside
jhuthe bayn sunane se pehle
jinko...
2. Fitna parasti, gumrahi ka
jahilo ne dars diya hai
roza, namaz, qura'n se inhone
ehle azaa ko door rakha hai
zikr e nabi o zikr e zehra
zikr e ali mein bulane se pehle
jinko...
3. Ehkam e deeni hai nahi jaane
shirk, kufr ki baatein maane
mimbar se jhute qaul sunaye
sachhai ko na pehchane
sachho ke zikr mein aise jhoothe
zakiro ko bulane se pehle
jinko...
4. Yehi to karbobala mein logo
kirdaar e shimr o khuli bhi tha
chadar e cheen ki aale nabi ki
jinhone ma'avza talab kiya tha
ye bhi usi qisse ko batakar
momino ko rulane se pehle
5. Ankho mein sharm haya nahi inke
kaise mu dikhlayenge
roze mehshar fatema zehra
ko ye kya batlayenge
jhuthe sog aur jhute aansu
mimbaro pe bahane se pehle
6. Zikr e wilayat karte hai par
inko wilayat ka na pata hai
inki wilayat sirf hai naara
jabke yehi nezame khuda hai
mujrim hai baani saath mein inke
majliso mein padhane se pehle
7. Khoon e ghazi bechte hai ye
khoone ali akbar ye beche
khoon e qasim bechte hai ye
khoone ali asghar ye beche
apna shikam bharte hai ye to
bhuko ka zikr sunane se pehle
8. Karbobala ka baat hai ab bhi
sabse badi mazloom hai hasti
jiski fazael aur masaeb
ki badi qeemat hai lagti
duniya ko maulayi banne ka
jhutha dars sikhane se pehle
9. Shikwa kare ab kisse ali deep
har su ye fitna jaari hai
mi6 ka wo pero hai
mimbar ka jo wyopari hai
aise munafiq aur nuseri
mimbaro pe laane se pehle
jinko talab paiso ki hai bus
zikre husain sunane se pehle
ye hai tajir khoon e husain
tajirane khoon e hussain