Abu ar-reza

- Shahid Baltistani (2006)


Abu ar-reza

(Yabna jaffar, abur-raza) x2 (Abur-raza) x2

(Ya musa-e-kazim) x2

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda

(Ya musa-e-kazim) x4

  1. Tere baba imam-e-sadiq hai
  2. Jiske dam se hai Jafferi sare

    Deen-o-mazhab, sabak ibadat hai

    Ham ko saye usi ke dar se mile

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  3. Hai qaramat-e-murtaza tujhme
  4. Saailo(n) ke bhi ye ata tujhme

    Rad jo hoti nahi kisi surat

    Saans leti hai wo dua tujhme

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  5. Tum bhi hajat rawa-e-alam ho
  6. Haideriyyat ka azm-e-mauqam ho

    Tum dua-e-janab-e-zahra se

    Pursadar-e-janab-e-adam ho

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  7. Bas junoon-o-jabal jilawatni
  8. Tere pyaaro(n) ke tujhse hai paayi

    Kitne dana the tere diwane

    Umr bhar teri nokri karli

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

    Almadad (maula raza) x3

  9. Tera beta imam-e-zamin hai
  10. Jiske qabze mei raat hai din hai

    Wo khurasaan ka hai shehzada

    Har shifa uske dar pe mumkin hai

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  11. Teri dukhtar hai qum ki shehzaadi
  12. Uski chowkat pe de sada jo bhi

    Joliyaa(n) apni bhar ke laata hai

    Ghamse milti hai usko aazaadi

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  13. Tere taboot ki wo tanhaayi
  14. Na tha beta ghareeb na bhaayi

    Chand mazboor aye ujrat par

    Lash raste se teri uthwaayi

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  15. Hai najaf dushmano(n) ke narghe mei
  16. Karbala samara ke raste mei

    Bekafan momino(n) ke laashe hai

    Kufr dakhil huwa madine mei

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  17. Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai
  18. Tera sikka jahaa(n) waaij hai

    Ham to har imtihaa(n) se guzrenge

    Dene wala tuhi nataij hai

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  19. Tu bhi "Rehan" istighasa kar

Kehke ya Musa ya bin-e-jafar

Nauha goyi karu qayamat tak

Aur ghulaami karu dar-e-shah par

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

(Yabn-e-jaffar abur-raza) x2 Abur-raza