Turbat
- Shahid Baltistani (2006)
Turbat
Inna lillahi wa inna ilayhi raajeoon
(Sakina guzar gayi) x3
(Ab tak nahi soyi hu) x2 sulaane chale aawo
(Turbat pe diya baba jalaane chale aawo) x2
- Baba mujhe mati ka makaa(n) aisa mila hai
- Asghar ki tarha mujhko sulaane nahi aaye
- Kya aap koi basti basaane gaye baba
- Dadi ki tarha mei bhi tere saath chali hu(n)
- Jo teri ghareebi ka akela tha sahara
- Kuch aise jhuka bhaayi ke phir uthna saka hai
- Acha mujhe sine pe sulana nahi baba
- "Arman" ye turbat se Sakina ki sada hai
Andhera jahaa(n) tera pata puch raha hai
Baba meri tanhaayi, mitane chale aawo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
Baba mera lasha bhi uthane nahi aye
Choti si Sakina ko manane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
Sughra se kiya wada, nibhaane gaye baba
Itna to Sakina ko bataane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
Baba mei tere sabr ke saaye mei pali hu(n)
Ansu jo chupaate ho, dikhaane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
Pani ke liye mene usse kho diya baba
Ye daagh kaleje ka mitane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
Baqir ka gala haaye qamar se jo bandha hai
Beemar se milne ke bahane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
Kehti hu jo amma ko batana nahi baba
Ehsaas yateemi ka mitane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
Ay baba mujhe tumne bohot pyaar kiya hai
Ab phoolo(n) ki chadar hi, charhaane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
(Aajaiye baba) x2