Bhai ki laash pe
- Shahid Baltistani (2017)
Haaye
Aye behen zainab - 4
Shabe aashur ye shabbir ne kaha zaynab se
Aye behen zaynab aye behen zaynab
Bhai ki laash pe maqtal me jo aana zaynab - 2
Ho sake to - 2 meri bacchi ko na laana zaynab
Bhai ki laash pe maqtal me jo aana zaynab - 2
1. Baap se beti to maa bete se hoti hai qareeb
Maa ko mazloomi sunayega tumhari ye gareeb
Tum garibi meri baba ko sunana zaynab
2. Kalse baagi ki behen tumko kaha jaayega
Taaziyano se tumhe pursa diya jaayega
Badle lega mere tumse ye zamana zaynab
3. Raat me uthte hai is dar ke janaze bibi
Sar se chadar jo chhini tum bhi to mar jaaogi
Tum andhere me mere laashe pe aana zaynab
4. Haaye shimr jis waqt chalaye meri gardan pe churi
Zibha hote hue baba ko na dekhe beti
Dare khayma se sakina ko hatana zaynab
5. Kahi abbas na sunle meri baate ye behen
Haath wo chumlu bandh jaayegi kal jinme rasan
Zara kuch der charago ko bujana zaynab
6. Pura abbas ki madar ka ho arman behen
Paani pyaso ko jo pilwaogi tum jaake watan
Sakka abbas ke bete ko banana zaynab
7. Ek ehsan ye karna aye mere baba ki jaan
Is baras aaye madine me jo gyara shaban
Farshe majlis ali akbar ka bichana zaynab
8. Haayee shabe ashur ki majlis thi takallum jaari
Chup hue kehke ye shabbir behen se apni
Tumko bazar me beparda hai jana zaynab