Mera asghar

- Shahid Baltistani (2017)


Haye asghar, haye asghar..(4)
maa ye maqtal mein roke kehti thi
noke naiza pe hai mera asghar

qabr se aagaya hai naize par
qadd tera itna badh gaya asghar

1. Aye mere cheh mahine wale ali
laaj rakhli hai tune madar ki..(2)
ab na roungi tujhko paala hai
tu jo maqtal mein has diya asghar
maa ye maqtal....

2. Apni ankho'n se mai lagati unhe
tere qadmo ke jo nishaa'n hote..(2)
maa ko armaan reh gaya dil mein
ghutniyo bhi nahi chala asghar
maa ye maqtal....

3. Tu to bus cheh mahine wala tha
uska akbar jawaan beta tha..(2)
samne maine umme laila ke
tera pursa nahi liya asghar
maa ye maqtal....

4. Bibiyo'n dekho mere bachhe ko
karliya band isne aankho'n ko..(2)
maa ko na mehramo ke majme mein
kaise dekhega berida asghar
maa ye maqtal....

5. Jaan ye soch kar nikalti hai
tune aye laal cheh mahino mein..(2)
itna paani nahi piya hoga
tune jitna ugal diya asghar
maa ye maqtal....

6. Jaake jannat mein aye mere beta
tum to mohsin ke saath kheloge..(2)
maa sakina ko kya dilasa de
kisse khelegi wo bhala asghar
maa ye maqtal....

7. Leke nanhe se sar ko godi mein
maa takallum ye roke kehti thi..(2)
ab to ankho'n ko khol de beta
mil gayi hai mujhe rida asghar
maa ye maqtal....