Aaqa e mann

- Imran Mehdi (2017)


Khuld ki deed ka jab shauq ubhar aaya hai
Bas tasawwur me tera rauza nazar aaya hai
Jaan bhi tujh pe feda dil ye feda hai tujhpar
Ishq se tere duaao'n mein asar aaya hai

Aaqa-e-Man Qibla-e-Man Jaan-e-Manam Ya Husain(as)

1. Tujh sey toheed shanasi ka sharaf paaya hey
Ye  tera ishq hi MOLA mera sarmaya hey
Tu hi Kaaba hai mera
Tu hi Qibla hai mera
Mein hun banda tera Ya Husain(as)

2. Tera aashiq hun sar-e-daar ye ailaan karun
Jaan so baar teray ishq mein qurban karun
Aaye toofan-e-alam
Laakh sehnay houn sitam
Mai pukarun ga Ya Husain(as)

3. Mar k jeena kisay kehtay hein mujhay aata hai
Mujhko maloom hai takhleeq ka maqsad kya hai
Mein azadaar tera
Ay Shahan Shah-e-Huda
Tu hai meri baqa Husain(as)

4. Jab dua FATIMA ZAHRA(sa) ki hai sar par saya
Phir humein khof zamanay ka bhala ho kesa?
Tu meray dil ka makee’n
Shehrag-e-jaa’n se qaree’n
Waris-e-hal ata Husain(as)

5. Dil kay qirtaas pe hai naam tera harf-e-jali
Ay Shahan Shah-e-Zama’n Rab kay wali Ibn-e-ALI(as)
Aai mushkil jo kabhi
To parhi Naad-e-ALI(as)
Di tujhay hi sada Husain(as)

6. Karbala mein wo sitam aur jafa ki aandhi
Bay kasi tashna labi haaye wo ghurbat teri
Seh kay har aik jafa
Sajda-e-shukr kia
Hay tera hosla Husain(as)

7. Darmiya’n zeen-o-zamee’n laasha raha hai tera
Dasht-e-pur haal mein teero’n ney uthaya laasha
Haaye khanjar jo chala
Pusht-e-gardan sey kata
Tera sookha gala Husain(as)

8. Hai ye Salman pe "Imran" pe teri hi ata
Dharkan-e-Qalb hoi farsh-e-Aza sey na juda
Hum ney bachpan se sada
Tera maatam hai kiya
Lab pe noha raha Husain(as)