Laadli aapki bus tadapti rahi

- Imran Mehdi (2017)


Ye shaame Ghurbat ka manzar hai ahle aza
Binte Zehra(sa) hai be maqna o be rida
Dekha aata hai maqtal ki jaanib koyi
Boli Zainab(sa) na aana idhar ajnabi
Di sada aanewale ne ay ghamzada
Mai hu baba tera binte Khairun nisa

Dekhkar apne baba ko binte Ali(as)
Chhote bachho ki tarha se rone lagi
Kyu na baba sada tumne meri suni
Mere baba mai pardes mein lut gai

Laadli aapki bas tadapti rahi..(4)

Masaaeb:
Baba wo athhaara(18) saala Ali Akbar(as)
Jisey maine naazo'n se paala tha
Jo hu ba hu mere naana ki shabahat rakhta tha
Jisney subhe aashur di thi azaa'n
Hairat hai zaalim ne takbeer baland karke
Uske seene pe naiza maara tha..!!!!!

1.Baba naazo’n se pala tha mene jisey
Dil mein arman tha uska sehra saje
Uskay laashay ko dekha he dil thaam k
Bas mein parhti rahi dil mein naad-e-ALI(as)

2.Mustaqil zulm dhatay rahay ahl-e-shar
Na hi bhai rahey or na noor e nazar
Aisey ujra he pardes me mera ghar
Hogayi maut se bhi buri zindagi

Masaaeb:
Baba meri chaadar ka muhaafez
Bachho'n ki aas, Ghareeb Husain(as) ki quwwat
Wo mera bhai Abbas(as)..!!
Neher par apne baazu kataakar sogaya....

3.Tan se bazu juda thay alamdar kay
Baba meney ye poocha tha ABBAS(as) se
Chor kar mujhko kio’n nehr par so gaye
Lash-e-ABBAS(as) baba tarapnay lagi

4.Meray AUN O MOHAMMAD(as) bhi maray gaye
Aur janazay thay maqtal mein bay-sir paray
Meney betay kiye hein fida bhaai pe
Phir bhi mein Shah-e-Dee’n ko bacha na saki

5 Sakht tha mere baba mera imteha’n
Meray sir par nahi thi rida baba jaa’n
Aur us par ye pardes ki sakhtiya’n
Khaak-e-maqtal meray sir ki chadar bani

6.Hai meray saath beemar beta mera
Us ko meney bachaya jo khema jala
Usk zanjeer me baba jakra gaya
Kuch bhi kar na saki haaye majboor thi

7.Rokay ZAINAB(sa) ney Salman di ye sada
Sarey alam k hain app mushkil kusha
Kio na aye madad ko meri murtaza
Thak gayi baba jaa’n aapki laadli