Shehzadi sughra
- Anjuman AunOMohammad (2017)
Behan se ye ro ro ke kehtey they sarwar,
Bhout yad aati hai bemar sughra ×4
1) Behan meri halath batau mai kaise
Mere tute dil ko manau mai kaise
Lipat ti hai seeney se jab bhi sakina
Bhout yad aati hai bemar sughra ×2
2)Shabahat hai sughra me maa fatima ki
Nahi saat mere watan me hai bhi
Nigaho se hat ta nahii uska chehra
Bhout yad aati hai bemar sughra ×2
3) Judai ki ghum bhi bada dil hazeen hai
Hai kubra ki shaadi pe sughra nahi hau
Sajaungi mehndi tha armaan uska
Bhout yad aati hai bemar sughra ×2
4) mulaqat akbar ki thi jub aajal se
Jigar khoon me tar tha barchi ke phal se Wo khoon behta seena sada dey raha tha
Bhout yad aati hai bemar sughra ×2
5) Chida run me asgher ka pyasa gala jub
Lahu lekey chehery pe sheh ne malla jub
Madine ka ruq kar ke bole ye maula
Bhout yad aati hai bemar sughra ×2
6) Tha laya jise kund karke sitamgar
Chala sheh ke sukhey gale pe wo khanjar
Tadap ker ye kehney lage shah e wala
Bhout yad aati hai bemar sughra ×2
7) Shaheedeen pe thi karbala me qayamath
Aur us per thi bimar beti ki furqat
Fasi" ab ye suntey hi purdard nauha
Bhout yad aati hai bemar sughra ×2