Matam e shabbir hi maqsad hai hamara
- Anjuman AunOMohammad (2017)
Nusrat e mazloom ko ajaou khudara,
Karb ke alam me hume sheh ne puakra,
Matam e Shabbir hi maqsad hai humara,
Ya hussain,Ya hussain,Ya hussain
1) Aise uthe matam e sarwar ki sadae
Dene lage fatima zehra bi duae
Karbobala jaye ye awaz madina.
Hussain,Ya hussain , Hussain Hussain,Ya hussain
2) Ghazi alamdar ki hum sub ko qasam hai
Parcham e abbas ki hum sub ko qasam hai
Hath kate matam e sarwar ye ruke na
Hussain,Ya hussain , Hussain Hussain,Ya hussain
3) ghum me tere fatima sar pet rahi hai
Pyase gale pe tere shamsheer chali hai
Qatl hua pyas me ek bund na paya
Hussain,Ya hussain , Hussain Hussain,Ya hussain
4) Karbola me jo azadar ye hotey
Lash pe asgher ki kabhi roney na detey
Dete har ek gaam pe maula ko dilasa
Hussain,Ya hussain , Hussain Hussain,Ya hussain
5) Baad e pidar khaq hua beti ka jena
Neend mujhe ati nahi baap ka sena
Roti rahi kehti rahi bali sakina
Hussain,Ya hussain , Hussain Hussain,Ya hussain
6) Baba rachai gayi kya bhai ki shadi
Kaise bhala apko mai yad na ayi
Door madine me hai beemar ye sughra
Hussain,Ya hussain , Hussain Hussain,Ya hussain.