Baba tumhare baad

- Shahkar Abbas (2017)


Baba (a.s) tumhare baad -2
                     Souz....

Zakhmi huwe jo hyder e safdar namaz me kyun kar bayan kijiye wo hashr ka sama'n bete adhar tarap te the us saouth betiya'n har soo'n kahin muqad kahin shaiwan kahin fugha'n bekhra ke baad zainab e muztar ka yeh baya'n baba akhir shab me tahayya kidhar gaya hai hai mahe siyam me azme safar kiya........

Zainab ki thi buka yahi Baba tumhare baad. Baba tumhare baad..-2

Dushwaar zindagi huwi -2 Baba tumhare baad...-2

(1). Rato'n chain dinka sukoo'n khochuki hoon mai..
Yani furaat e aaho buka ho chuki mai..
Dunya ujar ke rahgayi-2 Baba tumhare baad -2

Zainab ki thi buka yahi Baba tumhare baad. Baba tumhare baad..-2

(2).kaisa sitam huwa hai yeh maahe siyam me..
Urhti hai khaaq qabr e rasool e anaam me..
Chae jaha' me teegi-2Baba tumhare baad-2

Zainab ki thi buka yahi Baba tumhare baad. Baba tumhare baad..-2

(3).girya sunae deta hai qabr e batool se...
Matam ki gunj urhti hai qabr e rasool se...
Qandile arsh bujh gayi-2 Baba tumhare baad-2

Zainab ki thi buka yahi Baba tumhare baad. Baba tumhare baad..-2

(4). Nazdeeke eid soog ka samaan hogaya...
Masjid udaas kaba kareshaan hogaya..
Na eid khushi huwi-2 Baba tumhare baad-2

Zainab ki thi buka yahi Baba tumhare baad. Baba tumhare baad..-2

(5).do lakht hoke rahgaye hasnain ke jigar..
Ek qabr ki misaal hai baba hamara ghar...
Maa ki judaae kam na thi-2 Baba tumhare baad-2

Zainab ki thi buka yahi Baba tumhare baad. Baba tumhare baad..-2

(6). Wo baath ab samajh me jab aayi to dil dukha...
Shano me mere reesma badhenge ashqiya...
Chadar hamari jab chini-2 Baba tumhare baad-2

Zainab ki thi buka yahi Baba tumhare baad. Baba tumhare baad..-2

(7). REHAN O SHAHKAR yeh zainab ke bain the....
Beti ko apne chorh ke baba kidhar gaye...
Dar dar mai nange sar phiri-2 Baba tumhare baad-2

Zainab ki thi buka yahi Baba tumhare baad. Baba tumhare baad..-2