Ja raha hu mai karbala
- Shahkar Abbas (2017)
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
Makhtasar leke khafela nana...
1.aap jab se hue juda nana,
jina dushwar hogaya nana,
chain ek pal nahin mila nana,
hum sahe zulm bekhata nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
2.nana ummat ne wo sitam dhaya,
Khoon me baba ka tar musalla hua,
Zeher se bhai ko shaheed kiya,
Maa ke pehlu pa dar gira nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
3.nana kistarha wo jigar laoun,
kaise beemaar ko mai samjhaoun,
saath sughra ko kaise lejaoun,
hu bahu hai ye fatema nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
4.gham bada hai meri judaai ka,
marna jaye kahen meri sughra,
qabr par gar jalana aaye diya,
aap usko sambhalna nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
5.deen-e-islaam ko bachana hai,
haq ke paighaam ko sunana hai,
wada tifli ka ab nibhaana hai,
do mujhe aake housla nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
6.nana jungle basane jaounga,
sar kataounga ghar lutaounga,
laut kar phir kabhi na aaounga,
Lo salaam aakhri mera nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
7.hai shabeeh aap ki ali akbar,
mera ghazi hai saniye haider,
aur qasim hai hu bahu shabbar,
karne deen pa inhen fida nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
8.naujawa'n laal ka jigar dounga,
aur dedounga bezaba'n ka gala,
khud laho deke apni shehrag ka,
deen ka gulshan sajaounga nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
9.ab mayassar na hoga mujhko qarar,
nana chutta hai mujhse maa ka mazar,
phir na dekhounga aap ka ye dayaar,
gham ye har pal rulayega nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)
10.sunke "Zahid" ye noha e sarwar,
kaampi "Shahkar" qabr e paighambar,
aayi aawaaz aye mere dilbar,
saath hoga tere tera nana....
Ja raha hoon mai karbala nana (2)