Marhaba khairun-nisa
- Shahid Baltistani (2005)
Marhaba khairun-nisa
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
Bizate khairal wara ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- aisi maan jis pe meri maa qurbaan
- aisi beti ke baap ki maa he
- jis ne gyara imaam pale hai
- jo khadija ke qalb ki dharkan
- be zaron ko waqare buzar de
- tune jis qawm ki dua mangi
- dil tera barsare sina bibi
- hubbe shabbir me jo qatl huwe
- roya "rehan azmi" ka qalam
jis ke qadmo ki dhul arzo samaa
jis ke bete shababe ahle jina
jiska shohar he qul ka qul imaan
baap fakhre ambhiya ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
tu to qalbe rasul me jaan hai
teri tazim uspe lazim he
jispe utra khuda ka quran hai
ai kaneeze kibriya ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
sehne kaaba ke jo ujaale hai
haye chaki ki wo mushaqat thi
daste zahra mai ye jo chhale hai
deen jis ke ghar pala ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
khuld se jo mangaye pehrahan
tara utra jahaa salami ko
do jahan me hai wo tera angan
ye hai tera martaba ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
tashna kaamo ko jame kausar de
tu hai kono makan ki shahzadi
tu zamin ko bhi aasmaan karde
tu agar karde dua ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
hai asar sare matami uski
khun apna bahaa rahe hai jo
chahiye unko teri khushnudi
chahiye teri raza ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
girta lamhon me asmaan bibi
bad dua tu kaheen jo kardeti
khak hojata ye jahaan bibi
dub jaati karabala ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
un shaheedon ki maghfirat ke liye
teri nazre karam zaruri hai
tere baba rasul ke sadqe
kar rahe hai ilteja ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
likh ke qirtas par jo tere alam
karb se karbala huwa he dil
khun tapka nigah se peham
hosaka na haq adaa ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2