Darya ko tadapna tha
- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2017)
Abbas ke qadmo mein..(2)
Darya ko tarapdna tha abbas k kadmo me
Dekha tha ghazab usne (ek sher ki aankho me)..(2)
1. Abbas k seene me ehsas ka tha lashkar..(2)
Ladne ki tamanna thi lashkar ki qataro me
2. Paani pe jo pehra tha wo toot gaya aakhir..(2)
ek chand sa chehra tha darya teri lehro me
3. Pyase hai ali asghar, pyasi hai sakina bhi..(2)
Abbas ko ye gham hai zainab bhi hai pyaso me
4. Saqqaye haram pani le aane ko jaate hai..(2)
Hai aas abhi baaki shabbir ke kheimo me
5. Parcham hai tarayi me aur mashk hai pani me..(2)
Aane ko hai bas ammu ek shorr tha bachho me
6. Mashkiza sakina ka teero se hua chhalni..(2)
Pairo se jakadte hai abbas rikaabo me
7. Bazu e wafa katt kar darya pe rahe qabiz..(2)
Unchaa hai alam ab bhi abbas ke hatho me
8. Dushman ki safe jal kar kyu khaak na ho jaati..(2)
ek aag ka darya tha abbas ki saanso me
9. Aashur ka suraj bhi abbas ko rota hai..(2)
humlog sharar kya hai bas khaak nashino me