Qasim ki jawani
- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2017)
Qasim ki jawani hai ye qasim ki jawani
Shabbir ke hatho pe hai shabbar ki nishani
Haq baat pe jaan apni lutane ki thi aadat
Dekho to ye allah ke sheron ki ibadat
Qasim ke liye shahed se meethi thi shadat
Sharminda bahit aaj bhi pyaso se hai paani
Qasim ki jawani------
Ek tishnadahan jaan pe har simt se yelgaar
Naiza kahii chalta hai kahi chaltii hain talwaar
Woh oyaas ka aalam tha k ladna bhi hai dushwaar
Ek ghoont bhi peene ko mayassar nahi paani
Qasim ki jawani------
Zaat apni dhikahaii hai kamiino ne kiya hai
Ye kaam to kamzarfoo ke seeno ne kiya hai
Qasim ko tahe tegh laeeno ne kiya hai
Aankho me kisi ki nazar aaya nahi paani
Qasim ki jawani------
Talwaar pe qasim ki chala bus na kisi ka
Yu'n ran me tha farzande hasan ibne ali ka
Dushman ki nigahoo me sarapa tha jari ka
Khoon apna diya manga jo talwar ne paani
Qasim ki jawani------
Is phool ko sehre me kisi tarha basaae
Farwa ka tha armaan kaleje se lagae
Deti thi duae'n kabhi leti thi balaee'n
Kya kijiye ashkoo se badal jata hai paani
Qasim ki jawani------
Shabbir ka kaleja tha k tukde hue qasim
Pairo tale ghodo'n ke rounde gae qasim
Maidan me har simt the bikhre hue qasim
Pyaso ko kahi dete hain is tarha se paani
Qasim ki jawani------
Chandii sa badan qasim-e- be sar ka hai laashaa
Shabbir ne socha mere shabbar ka hai laashaa
Afsoos SHARARR mahe munawwar ka hai laashaa
Paani ne palat kr kabhi manga nahi paani
Qasim ki jawani------