Mere ammu

- Imran Mehdi (2017)


Haye Sakina(sa) Haaye Abbas(as) .. (2)

Sar pe saaya mere baba ka salaamat rehta
Mere Ammu k agar baazu salaamat rehte

1. Kaise gauhar mere kaano se utaare jaate
Kaise mumkin tha tamache mujhe maare jaate
Shaame gham aati nahi na mera daaman jalta
Mere Ammu.....

2. Aise baazaaro mein lagte nahi pathar mujhko
Maangte kaise kaneezi mein sitamgar mujhko
Paani is tarha dikhakar na bahaya jaata

3. Khaak par kuze ulatkar nahi rakhkhe hote
Sehme bachche yu sare neher na pyaase hote
Teer aise na mere mashk pe aaker lagta

4. Haaye ye khaak ka bistar na bichaauna hota
Mere sone k liye baba ka seena hota
Maarkar naize nahi mujhko jagayaa jaata

5. Mai agar rou'n to rone na diya jaaye mujhe
Aur na rou'n to rulaate hain jafaaye karke
Is tarha dohra sitam mujhpe na tuta hota

6. Aise rassi na gale mein mere baandhi jaati
Aise kaanto pe na paidal ye safar mai karti
Pushte naaqa se na mujhko yu giraaya jaata

7. Shaam se ab bhi ye "Salman" hawa aati hai
Aisa lagta hai k IMRAN sada aati hai
Mera zindaa'n k andhere mein na marqad banta
Mere Ammu k agar baazu salaamat rehte

Sar pe saaya mere baba ka salaamat rehta
Mere Ammu k agar baazu salaamat rehte