Manzar bazar ka
- Imran Mehdi (2016)
Maar na de baba manzar bazaar ka.
Nok e naiza par aap ka sar aur phupiya hai baanjh rida
1.Ye waqt kisi pe aaye na jo waqt hai hum par aaya
Namoos e nabi ko be chadar ummat ne haae phiraya
sar ko jhukakar beta tera bass khoon bahata raha
2.sadaat k sar pe chaaro taraf hai ghum ki ghataaye chaayi
Jab sochta hu ye baat pidar aankhe hai meri bhar aayi
hum ko kisi ne aake tera pursa bhi hai nahi diya.
3.Kab ghum hai mujhe zanjeero ka qismat se koi kab shikwa.
hai ghum to mujhe is baat ka bass phuppiya'n hai meri be parda.
ajr e risalat kaise hame ummat se hai ye mila
4.Maasoom sakina k gauhar hai shimr laeen ne cheene
be saakhta maare zaalim ne gaalo pe tamaache uske
Sar naize se girta raha abbas ye seh na saka
5.Hai aur hame ab sehna sitam darbaar ka ghum hai baaqi
Darbaar me jitne baithe hai sab zulm k hai shehdai
tham na sakegi baba mere ummat ki ye badti jafa
6.mehmaan nawazi hoti hai bazaar me baba hamari.
ummat hai tamashai saari aur aal e nabi faryaadi.
zakhmi badan hai zakhmi hai sar tar khoon me chehra hua
7.Kab koyi siyasat ki jung thi sadaat ki ehle sitam se
"Imran wilayat" ki jung thi sadaat ki ahle sitam se.
Bughz e Ali(as) me kaata gaya Shabbir(as) ka sukha gala