Musalla khoon mein rangeen
- Imran Mehdi (2016)
Musalla khun me rangee'n hua jo Haider(as) ka.
baqayya chhodhke kufe me aa gayi Zahra(sa)
1.Labo'n pe aa gayi paiham sada-e-ya abata
Jo aaye masjid e kufa me shahenshah-e-wafa
2.Kaha pidar se mere baba jald ghar ko chalein..
Ke dekha jaaye na zainab ka nauha-o-girya
3.Na der karna zara bhi kaha hai mujhse yahi..
Wagarna aayegi masjid me saani-e-Zahra(sa)
4.Sada-e-fuzto be rab thi ALI(as)ke honto per..
Zamee'n pe bikhra hua khun bhi deta tha sada
5. Khuda ka chehra khuda ke lahu se lal hua..
Khuda ki AAL ko is baat ka malaal hua
6.Kuch aisi zarb hai shah-e-arab ke sar pe lagi..
Lahu me doob gaya haaye aaj wajhullah.
7.Payambaraan e karam soghwaar aaj huye..
Hai soghwaar malayek samet khud ALLAH.
8.Har ek hath hain sine pe aankh me aansu..
Chalein hain khaliq e akbar ki samt sher-e-Khuda.
9.ALI ko karte hain sajda "SHABIH"AUR "IMRAN"..
Gham-e-ALI me ata-e-ALI hai yeh nauha