Lahad pe fatema zehra ke tha bayaan amma

- Anjuman al abbas (2015)


LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA
SUNANAY AAE HAI RUDAAD BETIYAAN AMMA
LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA

1. MAI KARBALA KE BIYABAAN, SAY AAYI HOON AMMA,
JIGAR PE DAAGH BAHATTAR, KAY LAAYI HOON AMMA,
SAKINA BIBI KO DAFNA KE AAYI HOON AMMA.
LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA

2. HAI ABB BHI MERI NIGAHON, MEIN ASR KA MANZAR,
CHALAYA SHIMR NE SOOKHE, GALE PE JAB KHANJAR,
TUMHARA LAAL RAGARDTA THA EYDIYAAN AMMA.
LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA

3. JAB AAYI SHAAM E GAREEBAN, NAYE SITAM TOOTE,
RIDAYEIN CHEEN LI SAR SE, JALA DIYE QAIMAY,
PINAYI ABID E MUZTAR KO BEDIYAAN AMMA.
LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA

4. KABHI THI SELIYAAN DURRE, KABHI TAMACHAY THEY,
RAWA SAKINA KE KAANO, SE KHOON K DHAARAY THEY,
SITAM NE CHEEN LI BACCHI KI BALIYAAN AMMA.
LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA

5. GUZAR RAHE THEY JO RAAHO, SE HUM JHUKAAYE NAZAR,
ALI KI BETIYAAN KOOFA, THA AUR BE-CHADER,
HARR AIK SIMT SE UTHTI THI UNGLIYAAN AMMA.
LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA

6. GIRE JO RAAHON ME OONTO, KI PUSHT SE BACCHAY,
NAZER KE SAAMNE MAAO, KI MAR GAYE BACCHAY,
WATAN KO AAYE HAI KHAALI HAI GODIYAAN AMMA.
LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA

7. LIKHA HAI NAUHA JO KHUD NAUHAKHAAN HAI SHAOKAT,
AZAA KE FARSH SE PAAYI, HAI ARSH TAK IZZAT,
RAHENGAY HASHR MEIN HUM ISS KE SAYEBAAN AMMA.
LAHAD PE FATIMA ZAHRA KAY THA BAYAAN AMMA