Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai
- Meesum Abbas (2017)
Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai
tadap ke laasha e akbar pa boley sibte nabi
hamare noor e nazar ko lagi nazar kiski
sitam ghareeb musafir pa ye mazeed kiya
batao kisne mere sher ko shaheed kiya
sina kaleje pe akbar ke maarne waale..(2)
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)
1. Bade hi naaz se paala hai ye jawaan pisar
ye mere ghar ka ujala, ye mera noor e nazar
ye mera hasliyo'n wala reyazato'n ka samar..(2)
lahu mein dooba hua aidiya'n ragadta hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)
2. Ye meri god mein qur'a ki tarha rehta tha
ye noor banke meri aankh mein chamakta tha
ye saaya banke mere saath saath chalta tha..(2)
meri sada pe na koi jawaab deta hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)
3. Ali ki betiya'n jhula ise jhulati thi
hijab e noor mein lori ise sunati thi
janab e umme banee iske naaz uthati thi..(2)
aur ab hussain yaha'n iski laash uthata hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)
4. Jo bachpane mein pakadke ye mera haath chala
to haath uthake ise di thi zindagi ki dua
khabar na thi ke mujhe ye bhi dekhna hoga..(2)
ke aaj haatho'n pe akbar tera janaza hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)
5. Batao tum mein koi ho jo sahib e aulad
jawaan laal ho jismein hai wohi ghar aabad
sitamgaro ne kiya haaye mera ghar barbaad..(2)
hawaye zulm se ghar ka charagh bujhta hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)
6. Hamare seene se nikla hai dil lahu rota
aur apne khaime se nikli hai zainabe kubra
najaf se nikle ali aur madine se nana..(2)
jab iske seene se barchi ka phal nikaala hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)
7. Salam e akhri mujhko kiya tha jab isne
na pooch humse ke aaye yaha'n pa hum kaise
kabhi uthe kabhi maqtal ki khaak par hai gire..(2)
zaeef baap se ye ghum kaha'n se uthta hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)
8. Hua hai nauha jo meesum teri zaba'n se adaa
ye joshe girya o matam bata raha hai raza
ke nauha sunne yaha'n aagaye mere maula..(2)
har ek zabaan pe akbar tera hi nauha hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)