Karobaar nahi
- Shahid Baltistani (2005)
Karobaar nahi
Hayya ala khayril amal
(Ya hussain) x4
Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi
(Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
- Wo shaks zakir-e-shabbir ho nahi sakta
- Ghame-hussain jo meezan-e-zar main toltay hay
- Jo zikre ale muhammad main daam rakte hain
- Jo dekhtay hain muharram ko eid ki surat
- Wo farsh-e-gham ho kay mehfil ali ki midhat ki
- Wo log kon thay hum jin ko aaj rotay hain
- Gham-e- hussain to darvaish ki ibadat hay
(Dar-e- zahra ka jo fakir ho nahi sakta) x2
Jissay hai zar say muhabbat aza se pyaar nahi
Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
(Wo apnay zarf-o-lahoo ki zubaan boltay hain hay) x2
Unhey ata-e-imaamat pay aitebaar nahi
Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
(Nazar mein kab wo aza-e-imaan rakhtey hain) x2
Wo zakhm detay hain shabbir ko karrar nahi
Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
(Unhey pasand hai goya yazeed ki surat) x2
Unhe imaam ki amad ka intezaar nahi
Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
(Jo baat kartay hain har bazm main siyasat ki) x2
Wo apne naam kay taalib hain pursadaar nahi
Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
(Yeh kis kay tazkeray farsh-e- aza pay rotay hai) x2
Wo log pusht-e- muhammad kay kiya sawaar nahi
Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
(Jahan-e-dard mein "Rehan" yeh wo daulat hai) x2
Qarar deta hai karta yeh beqarar nahi