Jab hamein laya gaya shaam ke bazaro mein
- Ameer Hassan Amir (2017)
Haye bazaar-2, haye sajjad, Haye bazaar-2, haye sajjad
Aye momino sonata hun main gham ka waqiya,
Padhte the subh-o-sham ye sajjad marsiya,
Baba pe haye apne main qurban na ho saka,
Ashsham haye sham yahi lab pet hi sada,
Minhal ne jo zulm ki poochi hai inteha,
Ro ro ke tab ye Sayyad-e-sajjad ne kaha,
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
Dhoom tha jashn ka us waqt sitam garon me
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
1- Haye minhal bayan kaise karun wo manzer,
ek rassi me bandhe bara gale the kas ker *2
Sabse chhoti thi behen meri giraftaron me
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
2- Haye main Sayyad-e-sajjad na bhoolunga wo din,
Sab mere qatl hue karbobala me lekin *2
Haye mai qatl hua sham ke bazaaron me..
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
3- Jis ghadi sham ke bazaar me ham laye gaye,
Haye pattha bhi saron per mere barsaye gaye *2
Khoon me tar the khade sang ki bauchharon me.
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
4- Nok-e-naiza pe jo besheer nazar aata tha,
Dil mera fart-e-masayab se phata jata tha *2
Sabse chhota tha mera bhai fidakaron me.
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
5- Ho jo minhaal agar sham ke zindan se guzar,
Apni aankhon se zara dekhna manzar jaker *2
Aaj bhi khoo’n ke hain chhete dar-o-deewaron me.
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
6- Haye sajjad pet hi kaisi qayamat aayi,
Aake ye Sayyad-e-sajjad se pooche koi *2
Kitni takleef hui sham ke bazaaron me.
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
7- Haal tab bali sakeena ka ajab hota tha,
Shimr jab pani dikha ker wo baha deta tha *2
Rahem khata na tha koi bhi jafakaron me.
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2
8- Kyun na us pehle azadaar ko roye Aalam,
Haye Aamir na kare ahl-e-aza kyun matam *2
Ek azadar ka matam hai azadaaron me.
Jab hame laya gaya khaichte bazaaron me *2