Khoon-e-hussain
- Ameer Hassan Amir (2017)
Haye mazloom Hussain, Mera mazloom Hussain *2
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
Ab hashr tak lahoo ko na muh se chhudaungi,
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
1- Haq se kahungi Fatima faryad layi hai,
Ummat ne mere laal ko mara duhai hai,
Nauha yahi mai hashr me padhti hi jaungi,
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
2- Paani dikha dikha ke rulaya Hussain ko,
Nazron ke mere samne mara Hussain ko,
Roro ke apne laal pe sabko rulaungi.
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
3- Karte raho aye momino matam Hussain ka
Tum sab ke kaam ayega ye gham Hussain ka
Wada hai Fatima ka tumhe bakhshwaungi.
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
4- Bacchon ke mere khoon se tar hai meri rida,
Khanjar se haye mera bhi zakhmi hua gala,
Ashkon ke badle aankh se main khoon bahaungi.
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
5- Dasht-e-bala ki Bekasi us dil ke chain ki,
Hogi bapa jo hashr me majlis Hussain ki,
Jo bhi hue wo sare masayab sunaungi.
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
6- Ab qabr me na chain se soyegi Fatima,
Jangal me apne laal pe royegi Fatima,
Hogi jahan pe majlis-e-shabbeer jaungi,
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
7- Pehlu shikasta bibi ye kehti hai baar baar,
Jo majlis-e-Hussain me rota hai zar zar,
Unko liye baghair na Jannat me jaungi.
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
8- Aamir bataun kese mere dil ke chain ko,
Meri nazar ke samne mara Hussain ko,
Aalam ye nauha hashr me padhti main jaungi.
Khoone-e-hussain jake khuda ko dikhaungi *2
Haye mazloom Hussain, Mera mazloom Hussain *2