Mujhe shabbir kehte hai
- Ameer Hassan Amir (2017)
Nabee ki aankh ka tara, Ali ko jaan se pyara
Bachaya deen hai jisne, Use shabbeer kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain*2
Har ek baala se aala hoo’n mujhe shabbir kehte hai
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain*2
1- Sawal e beyat e fasiq karoo’n tasleem na mumkin
Bhala hinda ke bête ki karoo’n tazeem na mumkin
Mai beta fatema ka hoo’n mujhe shabbir kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
2- Mai wo hoo’n jiska jhoola bhi farishto’n ne jhulaya hai
Mai wo hoo’n jisko kaandho’n par mohammad ne chadhya hai
Ali ka mai dulara hoo’n mujhe shabbir kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
3- Samajh me mai agar thoda bahot aao’n to phir kehna
Subhana rabbeal aala subhana rabbe al aala.
Kaha’n aakhir mai tumsa hoo’n mujhe shabbir kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
4- Mai jisko chahoo’n doo’n aulaad jisko chahoo’n par de doo’n
Khatayen bakhsh doo’n jannat me jisko chahoo’n ghar de doo’n
Sakhawat ka mai darya hoo’n mujhe shabbir kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
5- Mai jis dam ghaiz me aao’n falak kaanpe zamee’n kaanpe
Paro’n ki khairiyat ke waste ruhul amee’n kaanpe
Bahadur baap jaisa hoo’n mujhe shabbir kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
6- Qadam peechhe hatao’n raahe haq me ho nahi sakta
Mai apni khandaani saakh har giz kho nahi sakta
Abu talib ka pota hoo’n mujhe shabbir kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
7- Meri nazro’n me ye nau lakh to nau ki barabar hain
Mere hamrah jitney fard hain wo khud me lashkar hain
Shuja’at ka qabeela hoo’n mujhe shabbir kehte hain…
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
8- Irada kar liya jis shey ka usko kab nahi paya
Riyayat se kabhi maine koi mansab nahi paya
Khateeb e noke neza hoo’n mujhe shabbir kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
9- Jo ghabrata nahi asif kabhi talwar o khanjar se
Jo aamir fatha ka ailaan karta hai kate sar se
Mai wo banda khuda ka hoo’n mujhe shabbir kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbir kehte hain *2
Nabee ki aankh ka tara, Ali ko jaan se pyara
Bachaya deen hai jisne, Use shabbeer kehte hain