Rang layega zaroor

- Ameer Hassan Amir (2017)


Toote teeron pe musalla, khoon-e-asgher se wazoo,
Kis tarah tareekh ke dil se bhulaya jayega,
Chhup na payegi sitam se teri mazloomi Hussain,
Daastan-e-Karbala har aadmi dohrayega..
Rang layega zaroor rang layega *3

Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2
Karbala ka noor har sadi pe chhayega, Rang layega zaroor rang layega *2

1- Her zabaan per hain karbala ke waqeyat, Ab jahan hai ek bewatan ke sath sath,
Kalma-e-hussain padh rahi hai kayenaat, qad hussainiyat ka koi kya ghatayega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

2- Ye lahoo shareeyaton ke sar ka taj hai, ye lahoo risalaton ka hum mizaj hai,
Ye lahoo khilafe zulm ehtejaj hai, ye lahoo zameer-e-aadmi jagayega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

3- Is lahoo ki boond per hai deen ka sutoon, is lahoo ne bher diya hayat me sukoon,
Hashr tak Hussain tera begunah khoon, jane kitne mujrimo ko hur banayega,
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

4- Is lahoo me raoshni hai kirdegar ki, is lahoo me ghangaraj hai zulfeqar ki,
ye lahoo hai hadd Ali ke aitbar ki, zulm ke tamam khaibaron ko dhayega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

5- Ye lahoo zameen per jahan tapak gaya, us zamee ka noor asmaan tak gaya,
Is lahoo se deene Mustafa chamak gaya, is lahoo ka qarz khud khuda chukayega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

6- Har taraf hussainiyat ki hogi dhoom dham, hurriyat jagayega Hussain ka payam,
Kab talak karoge tum jahan me qatl-e-aam, amn ka charagh tumse bujh na payega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

7- Badh raha hai din ba din yaqeen-e-karbala, chhaa raha hai zehn-o-dil pe deen-e-karbala,
Keh rahi hai surkhiye zameen-e-karbala, hashr tak khuda ka deen jagmagayega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

8- Inteqaam baar baar lega ye lahoo, zulm ki naqab utarlega ye lahoo,
Qatilon ko khud pukar lega ye lahoo, ye lahoo jahan me mojize dikhayega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

9- Keh rahi hai zulmaton se subhe inteqam, ho chuki hai phir Ali ki tegh beniyam,
Manzil-e-khurooj me hai aakhri Imam, Waqt ka yazeed phir se muh ki khayega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

10- Akhter aane wali hai jahan ki muraad, Aamir ab qareebtar hai aakhiri jihad,
Hoga her zaban per Hussain zindabad, zulm ye sadayen sun ke tilmilayega..!!
Rang layega zaroor rang layega *2
Ye lahoo Hussain ka hai rang layega, Rang layega zaroor rang layega *2

Toote teeron pe musalla, khoon-e-asgher se wazoo,
Kis tarah tareekh ke dil se bhulaya jayega,
Chhup na payegi sitam se teri mazloomi Hussain,
Daastan-e-Karbala har aadmi dohrayega dohrayega….