Sakina pani aaya hai

- Ameer Hassan Amir (2017)


Utho Asgher mere pyase wo dekho pani aaya hai *2,
Sakeena pani aaya hai *2

Taras sham-e-ghareeba me kisi ne hamper khaya hai
Sakeena pani aaya hai *2

Ye kehkar khak se Zainab ne bacchi ko uthaya hai
Sakeena pani aaya hai *4

1- Bhala kab tak yunhi pyasi rahogi utho zid chhodo,
Chach ka wasta deti hun ye faqa abhi todo,
Isi pani ke khatir khoon me ammu nahaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

2- Zabane khushk me beti tere kaate pade honge,
Faqat do ghoot hi peele tere ehsan bade honge,
Sitam pardes me tujhper bahot qismat ne dhaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

3- Najane saara din maqtal me kya guzri hai pyase per,
Lo kuch pani chhidak aao ali asgher ke lashe per,
Zara se sin me usne pyas ka sadma uthaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

4- Labon ko tishnagi ki teer se azaad ker beti,
Na ab is derja ro ro ker chacha ko yaad ker beti,
Ghubar-e-tashnagi kab se tere chehre pe chhaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

5- Suna jis dam sakeena ne phuphi se naam pani ka,
Khayal aane laga reh reh ke ammu ki jawani ka,
Ye keh ker khoon-e-dil aankho se bacchi ne bahaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

6- Kaleja phhatt gaya nanhi si jaan ka shiddate gham se,
Lipat ke der tak kehti rahi ammu ke parcham se,
Piyungi haath se uske jise saqqa banaya hai..!!
Ye pani kaun laaya hai, ye pani kaun laaya hai..

Sakeena pani aaya hai *4

7- Main is paani ko kis dil se batauo muh lagaungi,
Ali asgher se kaise hashr me nazren milaungi,
Tasawwar per mere ab tak mera besheer Chaya hai,
Ye paani kaun laya hai, ye paani kaun laaya hai,
Sakeena pani aaya hai *4

8- Dua merne ki mere keejiye shah-e-madina se,
Ye paani kis tarah utrega halqe sakeena se,
Phuphi amma isi paani ne ammu se chhudaya hai,
Ye paani kaun laaya hai, ye paani kaun laaya hai
Sakeena pani aaya hai *4

9- Jaza-e-khair de usko khuda itni dua ker do,
Utho kuch shukriya to hur ki bewa ka ada kar do,
Hamara aalam-e-ghurbat me usne dil badhaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

10- Qarar aata nahi tha Aamir-o-Akhter bechari ko,
Chacha ki yaad aati thi gham-e-furqat ki maari ko,
Badi mushkil se zainab ne ye keh keh ker chupaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

Utho Asgher mere pyase wo dekho pani aaya hai*2
Sakeena pani aaya hai *4