Aye imam e raza

- Ameer Hassan Amir (2017)


Ya Imam-e-raza, ya Imam-e-raza, Aye shahenshahe khurasaan,
Ya Imam-e-raza, Aye imam-e-Raza Salam-o-alaik.

Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

Bekasi keh rahi hai mayyat per, warise karbala salam-o-alaik.
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

1- Ho raha hai fiza me gham mehsoos, bujh gaya aftab-e-shehre toos,
Aasmano se aa rahi hai sada, nayab-e-mustafa Salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

2- Chha rahi hai udasiyan hersoon, aur tapakte hain aankh se aasoo,
Sari duniya me ek talatum hai, deen ke nakhuda salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

3- Qalbe kaunain para para hai, tumko zehre dagha se mara hai,
Aye ghareebul watan salam-o-alaik, Aye aseere jafa salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

4- Shahe aali muqam ka taboot, uth raha hai imam ka taboot,
Apna sar peet ker janaze per, keh rahi hai qaza salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

5- Maut per aapki imam-e-mubin, keh rahe hain ghareeb aur miskeen,
Ho gaye aaj besahara hum, kul ke hajat rawa salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

6- Utra utra hai raat ka chehra, zard hai kayenaat ka chehra,
Zeher ki kaifiyat hai saanso me, tajdare wafa salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

7- Kaisa ranjo malal ka din hai, noor ke inteqal ka din hai,
Aaj dil ki hare k dhadkan se, aa rahi hai sada salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

8- Mere maula qubool farmana, leke kuch aasuon ka nazrana,
Pursa dete hain aamir-o-akhter, naazishe ambiya salam-o-alaik.
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2
Aye imam-e-Raza Salam-o-alaik *2