Mera imam bohot roya hai

- Shakir Manglori (2015)


Mera Imam bahut roya hai
bahut roya hai...
kehke ya Shaam bahut roya hai
bahut roya hai...

1. Pohche jab shaam toh khuli ne sadayein di thi
maro pathar inhe islam ke hai ye baaghi...2
sunkar ilzam bahut roya hai
bahut roya hai...
mera imam...

2. De ke khushiyon ka samasar jafakaaron me
haye ssehdaniyon ko shaam ke bazaron
Qalbe imam bahut roya hai
bahut roya hai...
mera imam...

3. Yaad Zainab ko biradar ki dilata tha layeen
bhare darbar khule sar jo bulata tha layeen
Leke jab naam bahut roya hai...
bahut roya hai...
mera imaam...

4.  Pucha minhal ne jab bepanah rone ka sabab
siskiyan leta hua maula mera keh kar tab...
Haye As shaam bahut roya hai...
bahut roya hai...
mera imam...

5.  Shaam o kufa ke masaib na kabhi bhul saka
Zakhm Qarbal ke rakhe seene pe har dam taza...
Woh Tishnagaam bahut roya hai...
bahut roya hai...
mera imam...

6.  Jab kaneezi me sakina ko layeen leta tha...
apni lachari pe hokar ke wo ehsaszada...
Falaj makaam bahut roya hai...
bahut roya hai...
mera imam...

7.  Jisko hasrat thi watan jane ki wo masooma
ek shab ho gayi khamosh toh sara kunbaan
karke kohram bahut roya hai...
bahut riya hai...
mera imam...

8.  Aur kya likhe bhala isse ziyada urfi
Ankhein hai giriya gunah padhke Hasan Shagir ki
Yahi ka naam bahut roya hai...
bahut roya hai...
mera imam...