Basta ba zanjeer

- Shahid Baltistani (2005)


Basta ba zanjeer

(Basta ba zanjeer) x2

Jumla yateema haay

Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema

  1. Jaltay huwe ghar lutti ridaye(n) ah hussaina
  2. kisko sadaa de kisko bulaye ah hussaina. Haay

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  3. Eik zanjeer-e-sitam bara aseero kay gale
  4. Us pay ye hukm kay har peer-o- jawaan tez chalay

    Ee sitam haay hussaina

    Pusht pay partay rahe saath durron kay nishaan haay

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  5. Eik beemar aseeron ka jo salaar bana
  6. Thaame zanjeer sitam jaanib-e-darbaar chala

    Ee sitam haay hussaina

    Roya shabbir ka sar barsare nok-e-sina haay

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  7. Dhoop say pyar hay saaye se sarokar nahi
  8. Koi baanu ki tarha bekaso ghamkhwar nahi

    Ee sitam haay hussaina

    Kaisay asgher kay binaa saye main jayengi maan haay

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  9. Umm-e-laila ka jigar hogaya paara paara
  10. Us nay dekha hay jawaan lal kay dil main naiza

    Ee sitam haay hussaina

    Mu ko ata hay jigar sunti hay jab bhi azaan

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  11. Eik nawshah ki mayat ke bahattar tukre
  12. Maadare Qasim-e- muztar ki nazar say guzre

    Ee sitam haay hussaina

    Sar kahan jism kahan dil kahan haath kahaan haay

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  13. Wo jo lashkar ka alamdar tha dast-e-shabbir
  14. Bar lab-e-nehr likhi jis ne wafaa ki tahreer

    Ee sitam haay hussaina

    Wo nahi hai to nahi ab meray jism mein jaan haay

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  15. Kaan zakhmi hai gala khushk jalaa hay daman
  16. Saans leyne nahi deti hai sakina ko rasan

    Ee sitam haay hussaina

    Neend aati hai usay wo magar soye kaha haay

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  17. Be ridayi ki aziyat ko uthane waale
  18. Haay wo ale muhhamad kay gharaane waale

    Ee sitam haay hussaina

    Apne is haal pay bhi kar nahi paaye fughaa

    (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  19. Nauha "Rehan" aseeron ki zubaan main likh kar

Is qadar roya qalam ho gaya qirtaas bhi tar

Ay meri jaan hussaina

Farshe majlis pay huwa qalbo jaan nauha kuna

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2