Haye ghazi alamdar
- Mustafa Hussain Chopra (2017)
Abbas ke laashe pe pukare shahe abraar
Haae ghaazi alamdaar.
Ai bhaai tere baad hai jeena mera dushvaar.
Haae ghaazi alamdaar.
Marne se tere toot pada gham ka samandar.
Ay saanie haidar.
Tum chal diye dunya se mai ab ho gaya laachaar...
Hae ghaazi alamdaar.
Dushman ka jigar fat'ta tha ghaazi tere dam se
Darte the alam se.
Be khaufo khatar soegi ab fauje jafaaaar.
Hae ghaazi alamdaar.
Ay mere ghazanfar teri soorat ke mai qurba'n.
Abbas meri ja'n.
Shaano'n pe tere chhupke sitamgar ne kiya vaar.
Hae ghaazi alamdaar.
Bhaai ko dikhaae na khuda bhaai ka laasha.
Yu' khoo'n me tadapta.
Kehte the kamar thaam ke shabbeer yeh har baar.
Hae ghaazi alamdaar.
Zakhmo'n se badan choor lahoo me hai tera tar.
Ay mere biraadar.
Teero'n ki sitamgar ne hai ki mashq pe bochhaar.
Haae ghaazi alamdaar.
Abbase alamdaar ka zaanu pe liye sar.
Ghamgeen the sarwar.
Ro ro ke sada dete the ay mere wafaadaar.
Abbase alamdaar.
Ab koi bhi dunya me nahi mera sahaara.
Bhaai gaya maara.
Ghurbat me chala chhor ke mujko mera ghamkhaar.
Haae ghaazi alamdaar.
Ab kaise bhala dunga mai zainab ko dilaasa.
Roegi jo dukhya.
Jeeteji na kar paaegi ab tera woh deedaar.
Haae ghaazi alamdaar.
Chha jaaegi chehre pe sakeena ke udassi.
Royegi woh pyaasi.
Ghash se na kabhi pyaasi woh ho paayegi bedaar.
Haae ghaazi alamdaar.
Purgham yeh jaha'n padta raha mustafa navha.
Hota raha girya.
Navshad harek roke yeh kehta tha azaadaar.
Haae ghaazi alamdaar.