Jalte khaimo ka hua khatm ujala ran mein

- Mustafa Hussain Chopra (2017)


1. Jalte khaymo ka huva khatm ujaala ran me.
Chha gaya khauf sa ghanghor andhera ranme.

2. Yaad abbas ko kar kar ke sakeena roi.
Khoon kaano se baha aur na aaya ghaazi.
Shaane katvaake chacha jaan hai soya ran me.

3. Har tamaache pe voh kehti rahi baba baba.
Zulm hota hai yatermo'n pe kaha ho bhayya.
Kaise mai dhoondhne aau'n tumhe tanha ran me.

4. Aag daaman me lagi bibi thi ghabraai huvi.
Jal gae khayme kaha'n jaati yeh nanhi bach'chi
Zulm ki maari chali aai sakeena ran me.

5. Laashe bikhre hai pade chaaro taraf jangal me.
Mere baba mai kaha'n Dhoondhu tumhe maqtal me.
Kis jagah soe ho aavaz do baba ran me.

6. Aai aavaaz andhere me tane besar se.
Kab se betaab hu milne ke liye dukhtar se
Tera baba hai yaha soya sakeena ran me.

7. Dekhkar laasha e sarwar ko sakeena daudi.
Siskiya'n leke voh baba se lipat kar roi.
Baap se karti rahi zulm ka shiqva ran me.

8. Baba baba muje zalim ne tamaache maare.
Shimr ne chheen liye kheench ke gohar mere.
Jaari kaano se mere khoo'n ki hai dhaara ran me

9. Jalte khaymo se lagi aag mere daaman me.
Dhundhte dhundhte mai aap ko aai ban me.
Tar lahoo me hai mera dekhie kurta ran me.

10. Baap se zulm ka jab kar chuki shiqva bibi.
So gai chain se maqtal me sakeena bibi.
Mil gaya beti ko ab baap ka seena ran me.

11. Mustufa laasha e sheh ran me tha be goro kafan.
Kaysa ujda hai yeh Navshad mohammad ka chaman.
Roti hai aaj talak faatema zehra ran me