Kaha shabbir ne ran mein
- Mustafa Hussain Chopra (2017)
kaha shabbeer ne ran me mere akbar kaha'n ho tum.
Zara aavaaz do mujko mere dilbar kaha'n ho tum.
Jawa beta asa hota hai baba ka zaerfi mai
Mere pyaare sahaara do muje aakar kaha'n ho tum.
Janaaze par janaaze sub'h se maine uthae hai.
utha lunga tera laasha mai kaandhe par kaha'n ho tum.
chhupa kar zakhm seene ka na ragdo ediya'n bete.
mai kheechunga kaleje se tere nashtar kaha'n ho tum.
huvi behosh ro ro kar tumhaari yaad me laila
hai lab par marsiya uske dile maadar kaha'n ho tum
tumhe paala hai ath'thara baras naazo'n se zainab ne.
na ji paaegi woh tumse juda hokar kaha'n ho tum.
Suna hai jab se tere biyaah ke baare mai zainab se
Sakeena maangti hai neg mai gohar kaha'n ho tum
watan se qaaside sughra hai aaya aaj khat lekar.
Bahut bechain hai beta teri khwaahar kaha'n ho tum.
muje tanha samaj kar ab sitamgar yeh daraate hai.
chalaaenge meri gardan pe ab khanjar kaha'n ho tum.
kaleja muh ko aaya baap ne dekha jo bete ko.
tadap kar fir pukaare ay mere dilbar yaha'n ho tum.
shehedee'n jab vaha ghutno ke bal pohche to yeh bole
meri jaa'n hai jigar tera lahu me tar yaha'n ho tum.
Sada di Mustafa sheh ne kabhi Navshad ghaazi ko.
Chale aavo zaaeefi par taras khaakar kaha'n ho tum.