Purdard baya'n aaj bhi

- Mustafa Hussain Chopra (2017)



Purdard baya'n aaj bhi asghar ka suna kar.
Rota hai jaha'n aankho'n se ashko'n ko baha kar

Halmin ki sada sun ke woh joole me machalna.
Jaane ke liye ran me woh asghar ka tadapna.
Sheh leke gae the jise haatho pe utha kar.

Narghe me laeeno ke woh shabbeer ka jaana.
Zalim ko yaqe'n pyasa hai asghar yeh dilaana.
Besheer ko jalti huvi reti pe lita kar.

Tha chaaro taraf dhoop se tapta huva sehera.
Or pyaas se besheer ka reti pe tadapna.
Zalim ne sataaya use paani ko baha kar.

Basheer ko shabber ne haatho pe uthaya.
Or teere sitam kheench ke hurmal ne chalaaya.
Tar khoon me asghar huva gardan ko chhida kar.

Chehre pe male khoon woh aaye dare khayma.
Madar ko diya haath me bacche ka janaaza.
Shabbeer khade hogaye gardan ko jhuka kar.

Baanu ne gala asghare maasoom ka dekha.
Sar peet ke kehne lagi haaye mera baccha.
Asghar ke janaaze ko woh seene se laga kar

Thi chaaro taraf dhoop na paani tha na saaya.
Besheer ko shabbeer ne mitti me chupaaya.
Tar qabr ko karte rahe sheh ashk baha kar.

Kya gham ka baya'n Mustafa Navshad karega.
Jab shaame ghareeba'n ka woh chhaayega andhera.
Or roegi shashmaahe ko ma'n khaak uda kar.