Beemare karbala hai

- Mustafa Hussain Chopra (2017)


Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

1
Deene nabi pe apna sab kuchh luta chuka hai.
Karbal se qayd ho kar woh shaam ja raha hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

2
Gardan me tauq hai or paau'n me bediya'n hai'n
Aghyaar ka hai majma sar nange bibiya'n hai'n.
Ghayyoor sar jhukaae aansu baha raha hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

3
Kaise hai yeh musalma'n barsa rahe hai patthar.
Sajjade naatva'n ka hai jism khoon me tar.
Aale nabi pe dhaai ummat ne yeh jafa hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

4
Barsaat ho rahi thi sholo'n ki qaydyo'n par.
Baandhe gae the sabke haatho'n ko gardano'n par.
Har shaam ki gali me manzar ye ja baja hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

5
Jalti huvi zamee'n hai hai garmyo'n ka mausam.
Or pyaas ka hai sadma ghutne laga hai ab dam.
Paaun me aable hai purkhaar raasta hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

6
Lagte hai taazyaane aabid ko har qadam par.
Neza chubha rahe hai beemaar ko sitamgar.
Jo deena mustafa ki kashti ka na khuda hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

7
Kar paae na baya'n woh guzri jo unke dil par.
Ashsham keh ke aabid roe hai zindgi bhar.
Zainab ka sar khula hai baazaar shaam ka hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

8
Zindaane shaam hai or ghanghor hai andhera.
Baaba ko yaad kar ke rukhsat huvi sakena.
Dekar dilaasa sab ko saabir bhi ro raha hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.

9
roti rahengi aankhe'n Nvshad o Mustafa ki.
Hongi baya'n musibat jab jab bhi karbala ki.
Chaalees saal jis ko sajjad ro chuka hai.
Beemaare karbala hai Beemaare karbala hai.