Akbar ne di aza'n

- Mustafa Hussain Chopra (2017)


1
Subhe dahum ke waqt jo akbar ne di aza'n.
Qalbo jigar ko thaam ke roti thi ayk maa'n.

2
Hur chal diya yazeed ke lashkar ko chhor kar
Takraai uske kaano se akbar ki jab aza'n.

3
Kehte the sheh utha ke ye laasha habeeb ka
Bachpan ki dosti ko na hone di raegaa'n.

4
Qurbaan kar ke bhaai pe bete na roungi.
Khayme me bibiyo'n se tha zainab ka yeh baya'n.

5
Takseem ran me hogya qaasim sa gulbadan.
G

athri mai laasha dekhke dam tor degi ma'n.

6
Jalti zamee'n pe gir gae thaame huve kamar.
Baazu mila husain ko abbas ka janha'n.

7
Naala hai yeh husain ka bhaai ki laash par.
Tanha mai aaj ho gaya dushman ke darmya'n.

8
Ayyoob sabr dekho lo aakar husain ka
Sheh ke zaeef kaandho pe hai laasa e jawa'n.

9
Seene mai tere dil nahi  path'thar hai hurmala
Hai teen fal ka teer to asghar hai bezaba'n.

10
Tanha husain hogae ab kisko de sada
Sajjad pe yaqeen tha wo bhi hai naatva'n.

11
Tab shimr kund karta tha khanjar ki dhaar ko.
Ran me sunaai deti thi jab asr ki aza'n.

12
Sajde mai sheh ki kaat ke gardan ko phir laee'n
Sar ko pakad ke baalo'n se hansta tha bad gumaa'n.

13
Kar paaenge baya'n na woh Navshad o Mustafa.
Bade husain hoga jo zaina ka imteha'n.