Ran mein hua nabi ka nawasa lahoo lahoo
- Mustafa Hussain Chopra (2017)
1
Ran me huva nabi ka navaasa lahoo lahoo.
Anjaam deke aakhri sajda laho laho
2
Aaya nahi zameen pe jab zeen se gira.
Sheh ka badan tha teero'n pe thehra lahoo lahoo.
3
Sar kat raha tha bhaai ka aankho ke saamne.
Zainab ka ho raha tha kaleja lahoo lahoo.
4
Phaila ke god baithi hai maa qatlgaah mai
Hoga yaha pe uska dulaara lahoo lahoo.
5
Rag'da tha aisa shimr ne gardan pe shaah ki
Khanjar bhi ho gaya tha laai'n ka lahoo lahoo.
6
Takraae the sitaare sitaaro'n se baar baar.
Or ho gaya tha arshe moalla lahoo lahoo
7
Peshaani apni mal ke woh khoone husain me.
Khayme me aaya shaah ka ghoda lahoo lahoo.
8
Roke sakeena kehti yeh zuljanaah se.
Kis ja pada hai baaba akela lahoo lahoo.
9
Paala tha jisne pees ke chakki husain ko.
Maa'n ne hai dekha usko tadapta lahoo.
10
Dauda ke ghode taapo'n se paamaal kar diya.
Mazloome karbala ka janaaza lahoo lahoo.
11
Khidmat me fatema ki yeh nazraana ho qubool.
Navshad o Mustafa ka yeh nawha lahoo lahoo.