Kyu na ho chalni jigar

- Mustafa Hussain Chopra (2017)


1
Kyu'n naho chhalni jigar zehra ke maatamdaar ke.
Jab ke rote hai ali bhi haath sar pe maar ke.

2
Zainabo kulsoom hai'n girya kuna fizza ke saath.
Aur rote hai nawaase ehmade mukhtaar ke.

3
Taab la sakte nahi unke masaaeb sunke ham.
Zakhm kaise ho baya'n binte shahe abraar ke.

4
Aag aada ne lagaayi lakdiya'n karke jam'a
Kar diya zehra ko zakhmi laat dar pe maar ke.

5
Ho gayi us waqt chakna choor dono pasliya'n
Fatema thi darmya'n jisdam daro dewaar ke.

6
Fatema ke jism me keele'n saraayat kar gai.
The badan me zakhm misle teer or talwaar ke.

7
Ho gaya saaqit hamal mohsin jaha se chal base
Raakh jalke ho gae armaan ek laachaar ke.

8
Jab talak zinda rahi sub'ho masa roti rahi rahi.
Khoon ke aansu rava aakho'n se the ghamkhaar ke.

9
Aake baytul huzn me karti voh ummat ka gila.
Baba dekho aake khud zulmo sitam aghyaar ke.

10
Rote rote jaanibe mulke baka voh chal basi.
So gai turbat me dardo gham se woh thak haar ke.

11
Qabr me bhi chain na so saki Navshad woh.
Mustafa toote lahad par bhi sitam aghyaar ke.