Vichora

- Shahid Baltistani (2005)


Vichora

Jeene se hamesha gham-e-bezaar thi sughra

Tanhaayi ki afat mei, giriftaar thi sughra

(Ghash rehta tha istarha ke beemar thi sughra) x2

Hosh ata tha karti yahi guftaar thi sughra

(Akbar nahi aaye) x2 haay

(Akbar nahi aaye) x4

  1. Kaise shab-e-baraat manaawu
  2. Kaise mei akbar tumhe bhool jaawu

    Nana ke roze pe is raat bhaayi tanhaa bhala kaise shamme jalaawu

    (Mujhko milenga na cheyn) x2

    (Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3

  3. Hai eid ka din bhi aane wala

Har ghar mei honga us din ujala

Veeran ghar mei kahe roke sughra

Pehlungi mei eid pe jora kala

(Karti rahungi ye bayn) x2

(Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3

("Arshad" thi sughra ke lab par duhaayi) x2

Baba khushi raas mujhko na aayi