Abbas alamdaram
- Anjuman e alamdare hussain (2015)
Abbas Alamdaram Abbas Alamdaram
Zainab ne kaha rokar, Abbas Alamdaram
pyase hai sabhi bache, sairab karo aake
kya site ho dariya par, abbas alamdaram
athara baras wala, akbar bhi gaya mara
sine pe sina khakar, abbas alamdaram
Che maha ka wo pyasa, jis halq pe teer aaye
phir us pe chala khanjar, abbas alamdaram
Tanhayi hai ghurbat hai, yeh kaise qayamat hai
zqmi hai tan-e-sarwar, abbas alamdaram
jalte hai sabhi qaime, dekhou to zara aake
chinti hai meri chadar, abbas alamdaram
batlaou tumhe kaise khincha hai layioune
abid ka mera bistar, abbas alamdaram
Tum jab se gaye bhaya, karte hai sitam aada
har lamha sakina par, abbas alamdaram
tha lab pe sakina ka ammu ho kaha mera
har ek tamacha par, abbas alamdaram
ye kaise ghadi ayi, kothou se tamashayi
barsate hai ab pathar, abbas alamdaram
hain kursi nashee sara, darbar me hakim ke
haste hai laye hum par, abbas alamdaram
sahil yahi kahti thi roro ke nabi zadi
lo jald qabr akar, abbas alamdaram