Mere hussain

- Anjuman e alamdare hussain (2016)


Maqtal me roke Kehti thi Zehra Mere Hussain
Aa go’ud me aaja mere aaja mere hussain

tukde badan ke bhikhre huwe dekhthi rahi
qasim ke tukde tune chune dekhthi rahi
rokar uthaya tune jo lasha mere hussain

abbas margaya tera akber nahi raha
godi me Jis ko paala tha asghar nahi raha
sab mar chuke hai rothi hai zehra mere hussain

lillah na kar tu zibha ye mera hussain hai
aye shumr teen roz ka piyasa hussain hai
sar pit ke ye kehti hai zehra mere hussain

zainab ne apni nasl ko be jaan kardiya
bhai pe apne bachon ko qurban kardiya
lashon ke darmiyan kiya sajda mere hussain

haan ab katega tera gala maa ke samne
sar hoga tera tan se juda maa ke samne
royegi dil ko thaam ke zehra mere hussain

Akber ka tune kaise janaza uthaliya
tuti kamar thi phir bhi wo lasha utha liya
manzar wo kaise laila ne dekha mere hussain

baqi rahega naam ali ka namaz main
momin padega bas yahi kalma namze main
name ali ko kardiya zinda mere hussain

tune gala katadiya islam ke liye
dijaan apni deen ke paigham ke liye
qaliq ka naam kardiya uncha mere hussain

kattha tha sar hussain ka rothi thi bekasi
aye hashmi hussain ki maa dekhthi rahi
manzar ye koi maa ne na dekha mere hussain